61तेरे वादे का तू जाने मेरा वो ही इरादा हैं,
- Vikas Umrao
की जिस दिन सांस टूटेगी उसी दिन आस टूटेगी..
Hindi |
6416Aaj hum hain kal humaari yaadein hongi,
jab hum na honge tab humaari baatein hongi,
kabhi paltoge zindagi ke panne,
to shaayad aapki aankhon se bhi barsaatein hongi.
Hindi |
41Sharaarat na hoti..shikaayat na hoti,
naino mein kisi ke nazaakat na hoti,
na hoti beqaraari..na hote hum tanha,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..
na hote yeh sapne..yeh khawaabon ki duniya ,
kisi ko chaahat ki tamanna na hoti,
na zulfon ki chaaon..na phoolon ki khushboo,
yaadon mein unki yeh raatein na kat-ti,
jo na hoti mohabbat to yeh aansu na hote,
dil bhi na khota..aaj tanha na rota,
deewano si apni yeh haalat na hoti,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..
Hindi |
50Unko khabar hai mere toote armaano ki,
aaj zaroorat padegi kaanch ke paimaano ki,
khaali na hone dena jaam yaaro,
yaad aa jaayegi warna fir se guzre zamaano ki.
Hindi |
71थक चुके हम उनका इनतजार करते-करते
रोये हजार बार खुद से तकरार करते-करते
दो लफज मुहब्बत के उनकी जुबां से न निकले और
टूट गए हम एक तरफा प्यार करते-करते..
Hindi |
10Sagar se dosti to kinaare bhi nahi karte
- Vikas Umrao
Aajkal to wafa humse hamare bhi nahi karte
Ek tumse thi ummeed,
So wo bhi aaj toot gayi…
Chup-chap beh jaate hain,
Kisi se sikayat mere aansu bechaare nahi karte…..
Hindi |
70Sehmi-sehmi nigaahon mein khwaab hum jagaa denge,
sooni-sooni raahon mein phool hum khila denge,
aap humaare saath muskura kar to dekho..
hum saare gham bhula denge.
Hindi |
64Kyon yaad aati hai tumhaari,
kyun palke bheeg jaati hai humaari,
jahaan-jahaan bhi gire humaare aansoo,
kyun tasveer ban jaati hai tumhaari..
Hindi |
51Ye bhi ek tamasha hai bazaar-e-ulfat me
Ai dost ,
Dil kisi ka hota hai aur bas kisika chalta hai
Urdu |
60Bahut kam hain zamaane mein log aise,
chaahat ki jinhe pehchaan hoti hai,
soch lena kisi pe mar mitne se pehle ki..
lutaane ke liye ek hi jaan hoti hai.
Hindi |
50Kash mere bas mein bhi hota tujh se ghafil ho jana,
hum bhi sukoon se rehte be-khabar teri tarah..Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
30Pyar jitna purana hota hai
muskil use utna bhulana hota hai..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- When Things Go Bad And Your Strength Is No Longer Enough ..
- Jise Koyal Samjha Woh Kauwa Nikla Dosti Ke Naam Per Hauwa ..
- Do You Know ? Tears Can Be Sometimes More Special Than Smile Smile ..
- New Year Is The Perfect Time To Renew The Bond ..
- There Are Two Ways Of Spreading Light To Be The ..
- Touch Your Heart Close Your Eyes Make A Wish Say Good ..
- सभी जज़्बात और ख़यालात बदल जाते हैं यूँ तो मोहब्बत ..
- Let S Pledge To Double The Celebrations And Minus The Crackers This ..
- Khush Bawad Umar Ki Darr Yaadi Biguzard Warnah Chee Haasal Ast ..
- Like Smoke I Vanish Though I Burn Like Flame I Flicker ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.