110Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..
Urdu |
40Pyaas bakshi hai to phir ajar bhi khul kar dena
abar maange meri dhartii to samander dena
apni auqaat se barhnaa mujhe guum kar dega
mujhko saya bhi mere kad ke baraabar dena..
Urdu |
82दिल में एक तूफ़ान है
दिल का हर कोना सुनसान है
क्या कहें जो हमारी जान है
वो ही हमसे अनजान है ..
Hindi |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
20Mere hisse ki zameen banjar thi main waqif na thaa
be-sabab mein ilzaam main detaa rahaa barsaat ko..
Urdu |
10Rang kuch shokh se tasveer mein bhar kar dekho
zindagi shokh hai is shokh pe mar kar dekho
kitna pyara hai jahan kitni hasin hai ye hayat
dil ki jaanib bhi zara ek nazar kar dekho..
Urdu |
30Husn waale wafaa nahi karte
daulat mand log dua nahi karte
hum qalander mijaaz hain
kisi ke liye bad- dua nahi karte..
Urdu |
10Uss ne dekha hi nahi meri rooh ko choo kar warna
yun zakhmo ka na wo apne charchaa karta..
Urdu |
40Bahaae ashk kyyn tumhare inhein rok lo khudaara
mujhe dukh kabool saare, yeh sitam nahi gawaara..
Urdu |
20Tu chaand hai is zameen ka aur main sooraj
yahi wajah hai ke apne darmiyaan doori hai
rok na mujhko dekh zidd na kar
teri chaandni ke liye mera doobna zaruri hai..
Urdu |
30Us ko Chaha bhi to izhaar karna nahi aaya
Kat gai umar magar pyaar karna nahi aaya
Us ney manga bhi agar kuch to judaai mangi
Aur hum thay ke hum ko inkaar bhi karna nahi aaya..
Urdu |
10उम्र तो सारी कटी इश्क़-ए-बुताँ में 'मोमिन'
आख़िरी वक़्त में क्या ख़ाक मुसलमाँ होंगे।
- मोमिन ख़ाँ मोमिन
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Muderer Try Karna Umar Kaid Ho Faansi Na Ho Santa Don T Worry ..
- चिराग कमज़ोर ही सही हाँ मगर अंधेरों से लड़ने का ..
- Yeh To Sach Hai Ke Sar E Koocha O Bazaar Bike Yeh Bhi Sach Hai ..
- Two Things Always In Life To Be Rememberd Dont Take Any ..
- Your Eyes Your Smile Your Touch Your Kiss Your Promise Your Words Our ..
- Santa Yaar Main Soch Raha Hun Ki Yeh Valentine Kaise Celebrate ..
- Phool Khushboo Ke Liye Pyaar Nibhaane Ke Liye Aankh ..
- Never Hurry Take Plenty Of Exercise Always Be Cheerful Take All The Sleep ..
- Harshit Hua Man Pulkit Hua Sansar Nanhe Nanhe Kadmo Se Maa Aayein Aapke ..
- Go Straight To The Heart Of Danger For There You Will ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.