कितना इख्तियार था उसे अपनी चाहत पर
जब चाहा याद किया , जब चाहा भुला दिया
बहुत अच्छे से जानता है वो मुझे बहलाने के तरीके
जब चाहा हँसा दिया , जब चाहा रुला दिया ..

Kitna ikhtiyaar tha use apni chahat par
jab chaha yaad kiya, jab chaha bhula diya
bahut achche se janta hai woh mujhe behlane ke tareeke
jab chaha hasa diya, jab chaha rula diya..

- Mashqoor Ahmed
40

Hindi |

mani_35_dard.jpg

Tum chaand ho jise sab yaad karte hain,
humaari kismat to taaron jaisi hai,
humein yaad karna to dooor,
log apni khushi ke liye humaare tootne tak ki fariyaad karte hain..

102

Hindi |

Unka khwaabon mein aana yeh unka kasoor tha,
unse dil lagaana yeh humaara kasoor tha,
woh aaye the zindagi mein do pal ke liye..
unko zindagi samajh lena yeh humaara kasoor tha.

74

Hindi |

De dua ho dard kam,
yeh ranjish-e-safar khatam,
lamhe to hain simat chale,
dooor tu, tera chaman.

11

Urdu |

Sharaarat na hoti..shikaayat na hoti,
naino mein kisi ke nazaakat na hoti,
na hoti beqaraari..na hote hum tanha,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..
na hote yeh sapne..yeh khawaabon ki duniya ,
kisi ko chaahat ki tamanna na hoti,
na zulfon ki chaaon..na phoolon ki khushboo,
yaadon mein unki yeh raatein na kat-ti,
jo na hoti mohabbat to yeh aansu na hote,
dil bhi na khota..aaj tanha na rota,
deewano si apni yeh haalat na hoti,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..

31

Hindi |

mani_36_dard.jpg

Socho ki paani se juda hokar
yeh machliyaan kyon tadap kar marr jaati hain..?
Na maaloom tha unko ki
nazdeekiyaan aadat aur
aadat aksar zindagi ban jaati hai..

51

Hindi |

Sagar se dosti to kinaare bhi nahi karte
Aajkal to wafa humse hamare bhi nahi karte
Ek tumse thi ummeed,
So wo bhi aaj toot gayi…
Chup-chap beh jaate hain,
Kisi se sikayat mere aansu bechaare nahi karte…..

- Vikas Umrao

10

Hindi |

Kash mere bas mein bhi hota tujh se ghafil ho jana,
hum bhi sukoon se rehte be-khabar teri tarah..

Details:
Gafil - negligent/careless

50

Urdu |

mani_39_sad.jpg

Shaam-e-samandar, gham-e-vasl aur tanhaai,
dil ko teri yaad aa na jaaye..
Ret par reh na jaaye koi baaki nishaa,
chaand mein teri surat nazar aa na jaaye..
Giraft-e-bekhudi se hi kaayam hai maikadaa saare,
diljalo ki basti mein dilnasheen aa na jaaye..
Haayat ki ungaliyon par naachte hain hum,
guroor-e- naseeb zehen mein ab aa na jaaye..

20

Urdu |

Unki tasveer ko seene se lagaa lete hain,
is tarah judaai ka gham mita lete hain,
kisi tarah kabhi jikr ho jaaye unka to,
has kar bheegi palke chupaa lete hain.

20

Hindi |

मुझे भी सिखा दो भूल जाने का हुनर,
मुझ से रातों को उठ उठ के रोया नहीं जाता..

126

Hindi |

dard-tree.jpg

Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai,
zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai,
nahi rote hum kaanto ki chubhan se,
aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai.

120

Hindi |

Recommended for You »

  1. When You Are Watching When You Are Playing When You Are Sad When ..
  2. Every Moment Of Your Life Is A Picture Which You Had ..
  3. Two Hikers Were Walking Through The Woods When They Stumble Upon ..
  4. जैसे मधुमक्खी बिना तकलीफ पहुंचाए फूलों से मधु निकाल लेती ..
  5. Kuch Unki Adaaon Ne Loota Kuch Unki Inaayat Maar Gayi Hum ..
  6. Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain Zakhm Kaise ..
  7. Deal Gently With The Bird You Mean To Catch ..
  8. दर्द कहाँ मोहताज होता है शब्दों का बस दो आंसूं काफी ..
  9. Fight Fire With Fire ..
  10. He That Will Not Sail Till All Dangers Are Over ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.