81Hujoom-e-gham meri fitrat badal nahi sakta
main kya karoon, meri aadat hai muskuraane ki..
Urdu |
03Qaid tha dil mein tera hi dard ta-umar ke liye,
Mar rahi thi har aarzu dard ke is safar mein..
Urdu |
10Raaste badal jaate hain, manzilein badal jaati hain,
kyun nahin badalte dil jo taqdeerein badal jaati hain,
dil wahi rehta hai, yaadon ki annginat parchaaiyaan le ke,
aankhon ki nami chupa kar, nazrein badal jaati hain,
rooh rehti hai har lamha ashk-baar, lab hanste hain,
bahar aur andar ki kis tarah fizaaein badal jaati hain,
koi hota hai rafta-rafta zindagi se door, bahut door,
haathon ki yeh lakeerein kyun aksar badal jaati hain..!!
Hindi |
50Khayaal ko kisi aahat ki aas rehti hai
nigah ko kisi surat ki pyaas rehti hai
tum bin kisi cheez ki kami to nahi
magar bin tere zindagi udaas rehti hai..
Urdu |
20Jo mere pyaar mein shiddat thi kal, woh aaj nahi
tumhara weham hai aur weham ka ilaaj nahi..
Urdu |
30Sau phool kam hain dulhan ko sajaane ke liye
Ek phool kaafi hai kabar pe lagane ke liye
Sau khushiyan kam hain ek gham ko bhulaane ke liye
Ek gham kaafi hai saari umar rulaane ke liye..
Urdu |
20Hum ek umar se wakif hain ab na samjhao
Ke lutaf kya mere meharbaan sitam ke hain..
Urdu |
30Kar guzaarish khuda se 'abhi' tu apne liye,
ki jee le ek aur din tu kisi ke liye,
har nayi mushkil se kyun ghabrata hai tu,
ek umar guzarti hai tajurbon ke liye,
saaki ne band kiye maikadaa'n ke darwaaze,
paimaano ki zaroorat nahi nigaahon se peene ke liye,
furkat-e-yaar mein bekaraar hai 'abhi',
aur mausam bhi tayyaar hai barasne ke liye,
doosre ke girebaa'n mein jhaankta hai jo,
ek nazar rakhe apne girebaa'n ke liye bhi..
- Abhishek Tanwar
Hindi |
30Husn waale wafaa nahi karte
daulat mand log dua nahi karte
hum qalander mijaaz hain
kisi ke liye bad- dua nahi karte..
Urdu |
40Humari saltanat mai zara soch ke kadam rakhna
humari muhabbat ki qaid mai zamaanat nahi hoti..
Urdu |
70हम तो सीख रहे थे सलीक़ा-ए-गुफ़्तगू
अफ़वाह उड़ने लगी कि हम शायर हो गए ..
Hindi |
30Patthar mujhe kehta hai mera chaahne-wala
Main moum hun uss-ne mujhe choo kar nahi dekha
Woh meri masaael ko samajh hi nahi sakta
Jis ne meri aankhon mein samander nahi dekha..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Life Is Not About What You Couldn T Do So Far Its ..
- मौत तो नाम से ही बदनाम है वरना तकलीफ तो जिन्दगी ..
- If You Do Not Change Direction You May End Up Where ..
- I Am Happy You Are Again Late I Just Now Met ..
- Why Are Doctors Prescriptions Impossible To Read?? Because They All Have ..
- कभी महक बनके गुलों से ..
- Career Enhance Your Skills A Good Employee Takes Effort To Do ..
- Two Things In Life Which Are More Tragic Than Death 1 ..
- Santa Pravachan Sun Ke Ghar Aaya Aur Apni Biwi Ko Godh ..
- Fasal E Khizan Main Phool Khushi Ke Kihlaaye Hain Hum Intahay E Karab Main Bhi ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.