Aap khafa ho gaye to koi khushi na rahegi,
aap ke bina chiraago mein roshni na rehegi,
kya kahein kya guzregi dil par,
zinda to rahenge par zindagi na rahegi.

33

Hindi |

mani_35_dard.jpg

Unko khabar hai mere toote armaano ki,
aaj zaroorat padegi kaanch ke paimaano ki,
khaali na hone dena jaam yaaro,
yaad aa jaayegi warna fir se guzre zamaano ki.

50

Hindi |

Woh mera tha yeh batana ajeeb lagta hai,
ab uss se aankh milana ajeeb lagta hai,
jo zindagi mein kabhi bhi mera na ho paiya,
ab uss ka khaaab mein aana ajeeb lagta hai,
tha jiska haath hamesha mere haathon mein,
Ab uss se haath milana ajeeb lagta hai..

50

Hindi |

Har ek jazbaat ko zubaan nahi milti,
har nek aarzoo ko dua nahi milti,
muskaan sajaaye rakho to duniya hai saath..
aansu ko to aankh mein bhi panaah nahi milti.

40

Urdu |

Likhu kuch aaj waqt ka takaza hai,
dard-e-dil abhi taaza-taaza hai,
gir padte hain aansu mere kaagaz per likhte waqt ,
lagta hai kalam mein seyahi kam dil mein dard zyaada hai.

51

Hindi |

mani_36_dard.jpg

Kaash kushiyon ki koi dukaan hoti,
humaari us-se pehchaan hoti,
bhar dete aapka daaman khushiyon se..
phir chaahe uski keemat humaari jaan hoti.

90

Hindi |

Mohabbat mein laakhon zakhm khaae hain humne,
afsos unhe hum par aitbaar nahi,
mat poocho kya guzarti hai dil par
jab woh kehte hain humein tumse pyaar nahi.

24

Hindi |

Bete hue lamho ko jab bhi yaad kiya humne,
gardish-e- waqt ko ru-ba-ru har baar kiya humne,
ek zakhm ubharta hai is dil mein,
jab jaam ka honto se ehtraam kiya humne.
Dooor hokar bhi tum aa jaate ho nazar ke saamne,
in palko ko jab bhi sangsaar kiya humne,
ae dost hum bhi ho chuke is ishq mein ghaayal,
aur apni zindagi ko barbaad kiya humne..

20

Urdu |

mani_39_sad.jpg

Shaam-e-samandar, gham-e-vasl aur tanhaai,
dil ko teri yaad aa na jaaye..
Ret par reh na jaaye koi baaki nishaa,
chaand mein teri surat nazar aa na jaaye..
Giraft-e-bekhudi se hi kaayam hai maikadaa saare,
diljalo ki basti mein dilnasheen aa na jaaye..
Haayat ki ungaliyon par naachte hain hum,
guroor-e- naseeb zehen mein ab aa na jaaye..

20

Urdu |

Sapno se dil lagaane ki aadat na rahi,
har waqt muskuraane ki aadat na rahi,
yeh soch kar ki koi manaane nahi aayega..
humein rooth jaane ki aadat na rahi.

65

Hindi |

dard-tree.jpg

Ae dil tu mohabbat karta kyon hai,
jo karta hai to phir tadapta kyon hai,
main dhadkan hun uski kehta tha mujhse,
phir aaj uska dil mere bina dhadakta kyon hai.

110

Hindi |

Recommended for You »

  1. To Seek Mind With The Discriminating Mind Is The Greatest ..
  2. Sense Gratification Means We Are Using The Instrument Human Body Meant For ..
  3. Happiness Is Very Close To Us However We All Forger To ..
  4. Jo Dost Paas Na Hon Woh Dil Ke Kareeb Hote Hain Jinke ..
  5. Innocent Kid Mummy Mujhe Sister Chaahiye Mom Beta Dad Abroad Hain ..
  6. मेरे ज़हन के शोर ओ गुल ने तेरा अहल ए कलाम सुनने न दिया ..
  7. Two Hikers Were Walking Through The Woods When They Stumble Upon ..
  8. There Was This Group Of People On A Tour Bus The Guide ..
  9. Engineers Marte Nahi Zinda Dafnaaye Jaate Hain Har 6 Mahino Mein Tadpaaye ..
  10. जुबां गुस्ताख़ ना हो मैं ज़रूरते हद हिसाब हुए जाता हूँ बात ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.